khinch-tan ke baat ko lamba karna hai
khīñch-tān ke baat ko lambā karnā hai
us ko to har haal meñ jhagḌā karnā hai
duniyā se anjān hai vo pāgal laḌkī
us ko bas titlī kā pīchhā karnā hai
koī to tajvīz karo mere yaaro
mujh ko apne dil kā saudā karnā hai
ishq kamāyā dard sahā Thokar khaa.ī
maiñ ne soch liyā ab dhoka karnā hai
haal hamārā pūchh rahe ho tum kyūñkar
zinda haiñ ham ḳhair tumheñ kyā karnā hai
karne ko kuchh kaam nahīñ thā kyā karte
ishq kiyā ab ishq kā nauha karnā hai
tujh se bhī ai ziist koī ummīd nahīñ
tū ne bhī har roz tamāsha karnā hai
apnī āñkheñ bech rahā huuñ saste meñ
kis ko ab ḳhvāboñ kā dhandā karnā hai
kaise maiñ 'āzād' badal luuñ fitrat-e-ishq
phūloñ kā sheva to mahkā karnā hai
khinch-tan ke baat ko lamba karna hai
us ko to har haal mein jhagDa karna hai
duniya se anjaan hai wo pagal laDki
us ko bas titli ka pichha karna hai
koi to tajwiz karo mere yaro
mujh ko apne dil ka sauda karna hai
ishq kamaya dard saha Thokar khai
main ne soch liya ab dhoka karna hai
haal hamara puchh rahe ho tum kyunkar
zinda hain hum KHair tumhein kya karna hai
karne ko kuchh kaam nahin tha kya karte
ishq kiya ab ishq ka nauha karna hai
tujh se bhi ai zist koi ummid nahin
tu ne bhi har roz tamasha karna hai
apni aankhen bech raha hun saste mein
kis ko ab KHwabon ka dhanda karna hai
kaise main 'azad' badal lun fitrat-e-ishq
phulon ka shewa to mahka karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.