khincha hua hai gardish-e-aflak ne mujhe
khīñchā huā hai gardish-e-aflāk ne mujhe
ḳhud se nahīñ utarne diyā chaak ne mujhe
mauj-e-havā meñ tairtā phirtā thā maiñ kahīñ
phir yuuñ huā ki khīñch liyā ḳhaak ne mujhe
maiñ raushnī meñ aa ke pashemāñ bahut huā
uryāñ kiyā hai ishq kī poshāk ne mujhe
ā.īñe kī tarah thā maiñ shaffāf o āb-dār
gadlā diyā hai chashm-e-havas-nāk ne mujhe
ḳhushbū sā maiñ ġhilāf ke andar muqīm thā
aur kho diyā hai sīna-e-sad-chāk ne mujhe
apne sivā jahāñ meñ koī sūjhtā nahīñ
lā pheñkā hai kahāñ mire idrāk ne mujhe
khincha hua hai gardish-e-aflak ne mujhe
KHud se nahin utarne diya chaak ne mujhe
mauj-e-hawa mein tairta phirta tha main kahin
phir yun hua ki khinch liya KHak ne mujhe
main raushni mein aa ke pasheman bahut hua
uryan kiya hai ishq ki poshak ne mujhe
aaine ki tarah tha main shaffaf o aab-dar
gadla diya hai chashm-e-hawas-nak ne mujhe
KHushbu sa main ghilaf ke andar muqim tha
aur kho diya hai sina-e-sad-chaak ne mujhe
apne siwa jahan mein koi sujhta nahin
la phenka hai kahan mere idrak ne mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.