khinchta hai kaun aaKHir daere dar daere
khīñchtā hai kaun āḳhir dā.ere dar dā.ere
dā.ere hī dā.ere haiñ dā.eroñ par dā.ere
pāniyoñ kī kokh se bhī phūTtā hai dā.era
der tak phir ghūmte rahte haiñ aksar dā.ere
is kitāb-e-zīst ke bhī āḳhirī safhe talak
khīñch Daale qaus ne bhī zindagī par dā.ere
jaane kyā kyā ghūmtā hai gard kī āġhosh meñ
jhāñkte haiñ āsmānoñ se sarāsar dā.ere
dā.eroñ ke beach meñ hai ek aur dā.era
niv kalas ik markaza hai markaze par dā.ere
aañkh meñ bhī dā.era hai dā.ere meñ dā.era
zindagānī dekhtī hai kyā barābar dā.ere
khinchta hai kaun aaKHir daere dar daere
daere hi daere hain daeron par daere
paniyon ki kokh se bhi phuTta hai daera
der tak phir ghumte rahte hain aksar daere
is kitab-e-zist ke bhi aaKHiri safhe talak
khinch Dale qaus ne bhi zindagi par daere
jaane kya kya ghumta hai gard ki aaghosh mein
jhankte hain aasmanon se sarasar daere
daeron ke beach mein hai ek aur daera
niw kalas ek markaza hai markaze par daere
aankh mein bhi daera hai daere mein daera
zindagani dekhti hai kya barabar daere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.