khil uThe chehra-e-gumnam jab usne dekha
khil uThe chehra-e-gumnām jab us ne dekhā
aa.ine bhuul ga.e kaam jab us ne dekhā
sā-re-gā-mā-pā huī sub.h zabāñ jab kholī
fā'ilātun pe huī shaam jab us ne dekhā
nīm-jāñ kaan liye us ke qarīñ jā pahuñche
puḳhta puḳhta bhī hue ḳhaam jab us ne dekhā
allah allāh ye kyā ḳhuub nazar-bāzī hai
mai-kashī pī ga.ī ḳhud jaam jab us ne dekhā
hazrat-e-dil to sag-e-kū-e-malāmat Thahre
aa gayā aap ko ārām jab us ne dekhā
jāñ-kanī muntazir-e-chashm-e-ġhazālī thī mirī
aur tārīk huī shaam jab us ne dekhā
khil uThe chehra-e-gumnam jab us ne dekha
aaine bhul gae kaam jab us ne dekha
sa-re-ga-ma-pa hui subh zaban jab kholi
fa'ilatun pe hui sham jab us ne dekha
nim-jaan kan liye us ke qarin ja pahunche
puKHta puKHta bhi hue KHam jab us ne dekha
allah allah ye kya KHub nazar-bazi hai
mai-kashi pi gai KHud jam jab us ne dekha
hazrat-e-dil to sag-e-ku-e-malamat Thahre
aa gaya aap ko aaram jab us ne dekha
jaan-kani muntazir-e-chashm-e-ghazali thi meri
aur tarik hui sham jab us ne dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.