khil uThe sukh ke phul chaaron taraf
khil uThe sukh ke phuul chāroñ taraf
aa.e jab jab rasūl chāroñ taraf
phir mohabbat ne bāñheñ phailā.īñ
phir rahe the malūl chāroñ taraf
maañ kī aa.heñ zarūr lagtī haiñ
āh-e-bint-e-rasūl chāroñ taraf
ek kun kī sadā kī maar haiñ sab
hogā haq kā nuzūl chāroñ taraf
ham bagūloñ kī nazr ho ga.e the
aur uḌtī thī dhuul chāroñ taraf
maiñ ne phūloñ ke ḳhvāb dekhe the
kyoñ ug aa.e babūl chāroñ taraf
us nazar ke javāb meñ gūñjī
ik sadā-e-qubūl chāroñ taraf
jaane vāloñ ne 'ahd toḌ diye
ban ga.e the usuul chāroñ taraf
adab-ādāb kho ga.e haiñ kahīñ
ban rahe haiñ schōl chāroñ taraf
khil uThe sukh ke phul chaaron taraf
aae jab jab rasul chaaron taraf
phir mohabbat ne banhen phailain
phir rahe the malul chaaron taraf
man ki aahen zarur lagti hain
aah-e-bint-e-rasul chaaron taraf
ek kun ki sada ki mar hain sab
hoga haq ka nuzul chaaron taraf
hum bagulon ki nazr ho gae the
aur uDti thi dhul chaaron taraf
main ne phulon ke KHwab dekhe the
kyon ug aae babul chaaron taraf
us nazar ke jawab mein gunji
ek sada-e-qubul chaaron taraf
jaane walon ne 'ahd toD diye
ban gae the usul chaaron taraf
adab-adab kho gae hain kahin
ban rahe hain school chaaron taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.