KHilaf-e-haq na hamara bayan jaega
ḳhilāf-e-haq na hamārā bayān jā.egā
vo jaan le ki hamārī ye jaan jā.egā
kirā.e-dār kī fitrat use nahīñ ma.alūm
ab us ke haath se apnā makān jā.egā
maiñ apne ruḳh pe mukhauTā lagā nahīñ saktā
vo mere dil meñ chhupā raaz jaan jā.egā
tamām shahr ke hālāt jāntā hai magar
kab apne ghar kī taraf us kā dhyān jā.egā
abhī vo mujh se ḳhafā hai bahut magar 'sājid'
use manā.ūñgā aise ki maan jā.egā
KHilaf-e-haq na hamara bayan jaega
wo jaan le ki hamari ye jaan jaega
kirae-dar ki fitrat use nahin malum
ab us ke hath se apna makan jaega
main apne ruKH pe mukhauTa laga nahin sakta
wo mere dil mein chhupa raaz jaan jaega
tamam shahr ke haalat jaanta hai magar
kab apne ghar ki taraf us ka dhyan jaega
abhi wo mujh se KHafa hai bahut magar 'sajid'
use manaunga aise ki man jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.