KHilaf-e-mazhab-e-nafrat hun kya kiya jae
ḳhilāf-e-maz.hab-e-nafrat huuñ kyā kiyā jaa.e
maiñ harf harf mohabbat huuñ kyā kiyā jaa.e
ai mere dushman-e-jāñ zarb aur kaarī de
abhī talak maiñ salāmat huuñ kyā kiyā jaa.e
maiñ 'mīr'-o-'ġhālib'-o-'iqbāl' kī muqallid huuñ
jadīdiyat meñ rivāyat huuñ kyā kiyā jaa.e
qusūr merā nahīñ hai ki 'ishq-zādoñ par
maiñ jāntī huuñ qayāmat huuñ kyā kiyā jaa.e
jadīd daur ke ḳhvāboñ meñ jī rahe haiñ log
maiñ lafz lafz haqīqat huuñ kyā kiyā jaa.e
kisī kī rāhat-o-chāhat huuñ chain huuñ dil kā
kisī ke vāste jannat huuñ kyā kiyā jaa.e
mirī ġhazal hai mirā aa.ina ki ai nāqid
maiñ misra' misra' pe hujjat huuñ kyā kiyā jaa.e
KHilaf-e-mazhab-e-nafrat hun kya kiya jae
main harf harf mohabbat hun kya kiya jae
ai mere dushman-e-jaan zarb aur kari de
abhi talak main salamat hun kya kiya jae
main 'mir'-o-'ghaalib'-o-'iqbaal' ki muqallid hun
jadidiyat mein riwayat hun kya kiya jae
qusur mera nahin hai ki 'ishq-zadon par
main jaanti hun qayamat hun kya kiya jae
jadid daur ke KHwabon mein ji rahe hain log
main lafz lafz haqiqat hun kya kiya jae
kisi ki rahat-o-chahat hun chain hun dil ka
kisi ke waste jannat hun kya kiya jae
meri ghazal hai mera aaina ki ai naqid
main misra' misra' pe hujjat hun kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.