KHilaf-e-zulm ghazal bhi hai jang-ju meri
KHilaf-e-zulm ghazal bhi hai jang-ju meri
Kausar Tasniim Supauli
MORE BYKausar Tasniim Supauli
ḳhilāf-e-zulm ġhazal bhī hai jañg-jū merī
yahī sabab ki ġhazal hai lahū lahū merī
jalā dī ruuh mirī us pe ye sitam dekho
ghumā.ī ek sadī laash kū-ba-kū merī
haañ mustafīd hue yuuñ zalīl bhī mujh se
udhār le lī zalīloñ ne aabrū merī
sunā hai aag se vo ḳhauf tak nahīñ khātā
pighalne lagtā thā sun kar jo guftugū merī
jinhoñ ne ḳhuun kiyā merā be-dareġhī se
nikal paḌe haiñ vahī karne justujū merī
abas hī Darte haiñ mujh se gulāb se chehre
nigāh rahtī hai har aan bā-vazū merī
KHilaf-e-zulm ghazal bhi hai jang-ju meri
yahi sabab ki ghazal hai lahu lahu meri
jala di ruh meri us pe ye sitam dekho
ghumai ek sadi lash ku-ba-ku meri
han mustafid hue yun zalil bhi mujh se
udhaar le li zalilon ne aabru meri
suna hai aag se wo KHauf tak nahin khata
pighalne lagta tha sun kar jo guftugu meri
jinhon ne KHun kiya mera be-dareghi se
nikal paDe hain wahi karne justuju meri
abas hi Darte hain mujh se gulab se chehre
nigah rahti hai har aan ba-wazu meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.