khilaunon ki dukan par dard ka shahkar laya hun
khilaunoñ kī dukāñ par dard kā shahkār laayā huuñ
ye kuchh aañsū haiñ jin ko bechne bāzār aaya huuñ
nigāhoñ se baraste sard sho.aloñ kī kahānī ko
ġhazal kā ruup de kar aap kī mahfil meñ laayā huuñ
tasavvur ke ufuq par jagmagāte chāñd tāroñ ko
añdherī bastiyoñ ke naam ik paiġhām laayā huuñ
sunā.ūñ to ye Dar hai aap par bār-e-garāñ hogā
vo ik saada sā afsāna jise āñkhoñ meñ paayā huuñ
zarā nazreñ uThā kar muskurā kar dekh to liije
baḌī ummīd le kar aap kī mahfil meñ aaya huuñ
ġham-o-dard-o-alam ke tez tūfānoñ kī godī meñ
jo sadiyoñ se rahā hai maiñ usī hastī kā saayā huuñ
jise duniyā ne baḌh kar zindagī kā naam de Daalā
usī be-rabt sī ḳhvāhish kā 'sādiq' maiñ satāyā huuñ
khilaunon ki dukan par dard ka shahkar laya hun
ye kuchh aansu hain jin ko bechne bazar aaya hun
nigahon se baraste sard shoalon ki kahani ko
ghazal ka rup de kar aap ki mahfil mein laya hun
tasawwur ke ufuq par jagmagate chand taron ko
andheri bastiyon ke nam ek paigham laya hun
sunaun to ye Dar hai aap par bar-e-garan hoga
wo ek sada sa afsana jise aankhon mein paya hun
zara nazren uTha kar muskura kar dekh to lije
baDi ummid le kar aap ki mahfil mein aaya hun
gham-o-dard-o-alam ke tez tufanon ki godi mein
jo sadiyon se raha hai main usi hasti ka saya hun
jise duniya ne baDh kar zindagi ka nam de Dala
usi be-rabt si KHwahish ka 'sadiq' main sataya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.