KHilqat-e-shahr kahan yar mujhe dekhti hai
ḳhilqat-e-shahr kahāñ yaar mujhe dekhtī hai
bas tirī aañkh lagātār mujhe dekhtī hai
maiñ ne hī gosha-nashīnī ko na chhoḌā varna
aaj bhī raunaq-e-bāzār mujhe dekhtī hai
terā maqsūd hai elān-e-muāfī to phir
kyoñ tire haath kī talvār mujhe dekhtī hai
vaise to fā.eda koī nahīñ shab-ḳhezī kā
sub.h hote hue bedār mujhe dekhtī hai
hālat-e-vasl ke baad aisā lagā thā mujh ko
zindagī terī tarah yaar mujhe dekhtī hai
jab maiñ us shaḳhs ke har zulm pe ḳhāmosh rahūñ
chauñk kar tāqat-e-guftār mujhe dekhtī hai
hijr ke āḳhirī zindāñ meñ muqayyad huuñ jahāñ
dar nahīñ dekhtā dīvār mujhe dekhtī hai
haath baḌh jaa.e agar luqma-e-tar kī jānib
nisbat-e-haidar-e-karrār mujhe dekhtī hai
apnī mahrūmī kisī tarah chhupā saktā nahīñ
aise vo shāḳh-e-samar-dār mujhe dekhtī hai
ek us shaḳhs ne jaate nahīñ dekhā mujh ko
varna duniyā to ka.ī baar mujhe dekhtī hai
KHilqat-e-shahr kahan yar mujhe dekhti hai
bas teri aankh lagatar mujhe dekhti hai
main ne hi gosha-nashini ko na chhoDa warna
aaj bhi raunaq-e-bazar mujhe dekhti hai
tera maqsud hai elan-e-muafi to phir
kyon tere hath ki talwar mujhe dekhti hai
waise to faeda koi nahin shab-KHezi ka
subh hote hue bedar mujhe dekhti hai
haalat-e-wasl ke baad aisa laga tha mujh ko
zindagi teri tarah yar mujhe dekhti hai
jab main us shaKHs ke har zulm pe KHamosh rahun
chaunk kar taqat-e-guftar mujhe dekhti hai
hijr ke aaKHiri zindan mein muqayyad hun jahan
dar nahin dekhta diwar mujhe dekhti hai
hath baDh jae agar luqma-e-tar ki jaanib
nisbat-e-haidar-e-karrar mujhe dekhti hai
apni mahrumi kisi tarah chhupa sakta nahin
aise wo shaKH-e-samar-dar mujhe dekhti hai
ek us shaKHs ne jate nahin dekha mujh ko
warna duniya to kai bar mujhe dekhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.