khilte khilte gul murjhana main bhi dekhun tu bhi dekh
khilte khilte gul murjhana main bhi dekhun tu bhi dekh
Aradhana Prasad
MORE BYAradhana Prasad
khilte khilte gul murjhānā maiñ bhī dekhūñ tū bhī dekh
hañste hañste aañsū aana maiñ bhī dekhūñ tū bhī dekh
mauqa bhī hai fursat bhī hai aur guloñ par rangat bhī
mausam kā andāz suhānā maiñ bhī dekhūñ tū bhī dekh
kis ne ye zulfeñ kholī haiñ bhīgā bhīgā mausam hai
bādal kā ye aag lagānā maiñ bhī dekhūñ tū bhī dekh
sunte haiñ ye bāġh-e-ḳhushī hai duur yahāñ ġham hotā hai
is ko kahte haiñ mai-ḳhāna maiñ bhī dekhūñ tū bhī dekh
duur ġham-e-duniyā se rah kar pyaar ke naġhme ham gaa.eñ
nazmoñ kā dil par chhā jaanā maiñ bhī dekhūñ tū bhī dekh
andar andar maiñ bikhrī huuñ bāhar bāhar tū bikhrā
ulfat kā aisā nazrāna maiñ bhī dekhūñ tū bhī dekh
khilte khilte gul murjhana main bhi dekhun tu bhi dekh
hanste hanste aansu aana main bhi dekhun tu bhi dekh
mauqa bhi hai fursat bhi hai aur gulon par rangat bhi
mausam ka andaz suhana main bhi dekhun tu bhi dekh
kis ne ye zulfen kholi hain bhiga bhiga mausam hai
baadal ka ye aag lagana main bhi dekhun tu bhi dekh
sunte hain ye bagh-e-KHushi hai dur yahan gham hota hai
is ko kahte hain mai-KHana main bhi dekhun tu bhi dekh
dur gham-e-duniya se rah kar pyar ke naghme hum gaen
nazmon ka dil par chha jaana main bhi dekhun tu bhi dekh
andar andar main bikhri hun bahar bahar tu bikhra
ulfat ka aisa nazrana main bhi dekhun tu bhi dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.