KHiram-e-mauja-e-baad-e-saba se milti rahe
ḳhirām-e-mauja-e-bād-e-sabā se miltī rahe
tirī ḳhabar mujhe abr-e-rasā se miltī rahe
tirī kashish se na nikle kabhī zamīn-e-dil
tirī rutoñ tire arz-o-samā se miltī rahe
maiñ jāntī huuñ koī mo.ajiza na hogā magar
mirī duā tire dast-e-duā se miltī rahe
maiñ kaaT duuñ pas-e-dīvār-e-bāġh umr tamām
agar mujhe tirī ḳhushbū havā se miltī rahe
tire chaman meñ maiñ ik shāḳh-e-zard-rū hī sahī
mujhe numū tirī āb-o-havā se miltī rahe
tirī jhalak kā mayassar ho zād-e-rāh mujhe
phir us ke baad masāfat balā se miltī rahe
vo dasht-e-umr ho yā regzār-e-hijr mujhe
safar kī samt tire naqsh-e-pā se miltī rahe
KHiram-e-mauja-e-baad-e-saba se milti rahe
teri KHabar mujhe abr-e-rasa se milti rahe
teri kashish se na nikle kabhi zamin-e-dil
teri ruton tere arz-o-sama se milti rahe
main jaanti hun koi moajiza na hoga magar
meri dua tere dast-e-dua se milti rahe
main kaT dun pas-e-diwar-e-bagh umr tamam
agar mujhe teri KHushbu hawa se milti rahe
tere chaman mein main ek shaKH-e-zard-ru hi sahi
mujhe numu teri aab-o-hawa se milti rahe
teri jhalak ka mayassar ho zad-e-rah mujhe
phir us ke baad masafat bala se milti rahe
wo dasht-e-umr ho ya regzar-e-hijr mujhe
safar ki samt tere naqsh-e-pa se milti rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.