KHirad ka nur basirat ki raushni le kar
ḳhirad kā nuur basīrat kī raushnī le kar
jabīn-e-shauq jhuke zauq-e-bandagī le kar
rah-e-hayāt kī zulmat hai do ghaḌī ke liye
vo aa rahe haiñ mohabbat kī raushnī le kar
dimāġh-o-dil meñ abhī aap ke añdherā hai
qadam baḌhā.iye kuchh ham se raushnī le kar
diloñ kā buġhz chhupā.e se chhup nahīñ saktā
na aao sāmne paiġhām-e-āshtī le kar
ḳhizāñ-rasīda gulistāñ meñ dil nahīñ lagtā
ab aa bhī jaao bahāroñ kī tāzgī le kar
har ek samt haiñ bikhre hue ka.ī chehre
vufūr-e-dard meñ Duubī huī hañsī le kar
use bhī ham qad-o-qāmat se jaan lete haiñ
phire hai chehre pe chehra jo aadmī le kar
tumhārī tarah se nāzuk-mizāj ham bhī haiñ
baḌhāo jaam na tevar meñ barhamī le kar
ye baune naap rahe haiñ har ek ke qad ko
dil-o-dimāġh meñ saudā-e-ḳhud-sarī le kar
ai 'soz' bhūleñge kaise suḳhan-shanās unheñ
guzar ga.e jo bahār-e-suḳhan-varī le kar
KHirad ka nur basirat ki raushni le kar
jabin-e-shauq jhuke zauq-e-bandagi le kar
rah-e-hayat ki zulmat hai do ghaDi ke liye
wo aa rahe hain mohabbat ki raushni le kar
dimagh-o-dil mein abhi aap ke andhera hai
qadam baDhaiye kuchh hum se raushni le kar
dilon ka bughz chhupae se chhup nahin sakta
na aao samne paigham-e-ashti le kar
KHizan-rasida gulistan mein dil nahin lagta
ab aa bhi jao bahaaron ki tazgi le kar
har ek samt hain bikhre hue kai chehre
wufur-e-dard mein Dubi hui hansi le kar
use bhi hum qad-o-qamat se jaan lete hain
phire hai chehre pe chehra jo aadmi le kar
tumhaari tarah se nazuk-mizaj hum bhi hain
baDhao jam na tewar mein barhami le kar
ye baune nap rahe hain har ek ke qad ko
dil-o-dimagh mein sauda-e-KHud-sari le kar
ai 'soz' bhulenge kaise suKHan-shanas unhen
guzar gae jo bahaar-e-suKHan-wari le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.