KHirad ke maktab mein zindagi ke shuur ki aagahi nahin hai
KHirad ke maktab mein zindagi ke shuur ki aagahi nahin hai
Hami Gorakhpuri
MORE BYHami Gorakhpuri
ḳhirad ke maktab meñ zindagī ke shu.ūr kī āgahī nahīñ hai
charāġh tāqoñ pe jal rahe haiñ magar kahīñ raushnī nahīñ hai
tumhārā maslak hai but-parastī ham apne hāthoñ ko pūjte haiñ
ḳhudā banāte haiñ pattharoñ ko ye fann-e-dast-e-ḳhudī nahīñ hai
tumhāre ahd-e-shabāb ko ham ḳhamosh nazroñ se dekhte haiñ
ise bhī tum ehtijāj samjho ye ḳhāmushī ḳhāmushī nahīñ hai
maiñ ranj-o-ġham meñ bhī muskurā kar fareb detā huuñ zindagī ko
jo mere hoñToñ pe murta.ish hai vo mauj-e-ġham hai hañsī nahīñ hai
ye bikhre bikhre se ḳhushk patte alāmateñ haiñ tabāhiyoñ kī
ravish ravish gulsitāñ kī 'hāmī' ḳhizāñ ḳhizāñ chīḳhtī nahīñ hai
KHirad ke maktab mein zindagi ke shuur ki aagahi nahin hai
charagh taqon pe jal rahe hain magar kahin raushni nahin hai
tumhaara maslak hai but-parasti hum apne hathon ko pujte hain
KHuda banate hain pattharon ko ye fann-e-dast-e-KHudi nahin hai
tumhaare ahd-e-shabab ko hum KHamosh nazron se dekhte hain
ise bhi tum ehtijaj samjho ye KHamushi KHamushi nahin hai
main ranj-o-gham mein bhi muskura kar fareb deta hun zindagi ko
jo mere honTon pe murtaish hai wo mauj-e-gham hai hansi nahin hai
ye bikhre bikhre se KHushk patte alamaten hain tabahiyon ki
rawish rawish gulsitan ki 'hami' KHizan KHizan chiKHti nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.