KHirad ke raste mein ek moD aisa bhi aaya tha
ḳhirad ke rāste meñ ek moḌ aisā bhī aayā thā
jahāñ har aadmī insāñ na thā insāñ kā saaya thā
musībat ne hameñ ek ā.ina-ḳhāna dikhāyā thā
ki jis meñ muḳhlisoñ kā ek ik chehra parāyā thā
miTā.ī thī jinhoñ ne la.anat-e-dār-o-rasan pahle
unhī ko yaar logoñ ne salīboñ par chaḌhāyā thā
zamāna kapkapātā thā tumhārī sard-mehrī se
diloñ ko tāpne sūraj ġhamoñ kī dhuup laayā thā
vo dīvār-e-shikasta aaj tak phirtī hai āñkhoñ meñ
ki jis ko thaam kar ham ne bhī ik ehsāñ uThāyā thā
kisī ne bhī na dekhā jal rahā thā āshiyāñ kis kā
dhuāñ kuchh is qadar gulshan ke aivānoñ pe chhāyā thā
ka.ī pyāse talāsh-e-āb meñ sahrā meñ aa.e the
vahī manzar dobāra zehn ke ḳhvāboñ meñ aayā thā
azal se be-sadā thā band thā jo sāz-e-hastī meñ
tumheñ bhī yaad hogā ham ne vo naġhma sunāyā thā
ġham āḳhir ġham hai 'ashraf' be-niyām-e-chārasāzī hai
tabassum kā bhī logoñ ne sunā hai zahr khāyā thā
KHirad ke raste mein ek moD aisa bhi aaya tha
jahan har aadmi insan na tha insan ka saya tha
musibat ne hamein ek aaina-KHana dikhaya tha
ki jis mein muKHlison ka ek ek chehra paraya tha
miTai thi jinhon ne lanat-e-dar-o-rasan pahle
unhi ko yar logon ne salibon par chaDhaya tha
zamana kapkapata tha tumhaari sard-mehri se
dilon ko tapne suraj ghamon ki dhup laya tha
wo diwar-e-shikasta aaj tak phirti hai aankhon mein
ki jis ko tham kar hum ne bhi ek ehsan uThaya tha
kisi ne bhi na dekha jal raha tha aashiyan kis ka
dhuan kuchh is qadar gulshan ke aiwanon pe chhaya tha
kai pyase talash-e-ab mein sahra mein aae the
wahi manzar dobara zehn ke KHwabon mein aaya tha
azal se be-sada tha band tha jo saz-e-hasti mein
tumhein bhi yaad hoga hum ne wo naghma sunaya tha
gham aaKHir gham hai 'ashraf' be-niyam-e-chaarasazi hai
tabassum ka bhi logon ne suna hai zahr khaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.