KHirad ki chhanw mein nind aa rahi hai
ḳhirad kī chhāñv meñ niiñd aa rahī hai
kahāñ ġhairat junūñ kī kho ga.ī hai
mujhe tere tasavvur ne sambhālā
jahāñ bhī gardish-e-daurāñ milī hai
huī muddat jalā thā āshiyāna
nigāhoñ meñ abhī tak raushnī hai
jahāñ vo chalte chalte ruk ga.e haiñ
vahāñ gardish falak kī tham ga.ī hai
mire ashkoñ kī tābānī se hamdam
shab-e-furqat kī zulmat kāñptī hai
ye merā zauq-e-nazzāra salāmat
har ik sūrat meñ sūrat aap kī hai
kahāñ jā.ūñ nikal kar mai-kade se
rah-e-dair-o-haram meñ tīrgī hai
sambhal kar paañv rakh ai vahshat-e-dil
vafā kī rahguzar kāñToñ bharī hai
had-e-idrāk meñ dam toḌnā kyā
junūn-e-ishq meñ zinda-dilī hai
ġham-e-insāñ ġham-e-daurāñ ġham-e-dil
'hayāt' ab kashmakash meñ zindagī hai
KHirad ki chhanw mein nind aa rahi hai
kahan ghairat junun ki kho gai hai
mujhe tere tasawwur ne sambhaala
jahan bhi gardish-e-dauran mili hai
hui muddat jala tha aashiyana
nigahon mein abhi tak raushni hai
jahan wo chalte chalte ruk gae hain
wahan gardish falak ki tham gai hai
mere ashkon ki tabani se hamdam
shab-e-furqat ki zulmat kanpti hai
ye mera zauq-e-nazzara salamat
har ek surat mein surat aap ki hai
kahan jaun nikal kar mai-kade se
rah-e-dair-o-haram mein tirgi hai
sambhal kar panw rakh ai wahshat-e-dil
wafa ki rahguzar kanTon bhari hai
had-e-idrak mein dam toDna kya
junun-e-ishq mein zinda-dili hai
gham-e-insan gham-e-dauran gham-e-dil
'hayat' ab kashmakash mein zindagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.