KHirad ki dhund mein aks-e-ruKH-e-sahar to mila
ḳhirad kī dhund meñ aks-e-ruḳh-e-sahar to milā
junūn-e-shauq tujhe koī ham-safar to milā
jalā gayā hai koī ret par lahū se charāġh
rah-e-junūñ meñ koī naqsh-e-motabar to milā
tumhāre shahr meñ sotā huuñ paañv phailā kar
koī makāñ na milā sāya-e-shajar to milā
kisī se dil kahāñ miltā hai is zamāne meñ
ḳhulūs laakh tasanño sahī nazar to milā
ġham-e-hayāt ke gesū sañvar hī jā.eñge
nigār-e-shām ko ā.īna-e-sahar to milā
hunar ḳharīd ke lā.eñge be-hunar kitne
hamāre shahr ko ik sāhab-e-hunar to milā
utaar laayā bulandī se us ko ai 'hāmī'
vo āsmān kā taarā zamīn par to milā
KHirad ki dhund mein aks-e-ruKH-e-sahar to mila
junun-e-shauq tujhe koi ham-safar to mila
jala gaya hai koi ret par lahu se charagh
rah-e-junun mein koi naqsh-e-motabar to mila
tumhaare shahr mein sota hun panw phaila kar
koi makan na mila saya-e-shajar to mila
kisi se dil kahan milta hai is zamane mein
KHulus lakh tasanno sahi nazar to mila
gham-e-hayat ke gesu sanwar hi jaenge
nigar-e-sham ko aaina-e-sahar to mila
hunar KHarid ke laenge be-hunar kitne
hamare shahr ko ek sahab-e-hunar to mila
utar laya bulandi se us ko ai 'hami'
wo aasman ka tara zamin par to mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.