KHirad ki rah mein har moD par dhoke nikal aae
KHirad ki rah mein har moD par dhoke nikal aae
Sanjay Mishra Shauq
MORE BYSanjay Mishra Shauq
ḳhirad kī raah meñ har moḌ par dhoke nikal aa.e
bisāt-e-amn par bhī jañg ke naqshe nikal aa.e
zarūrī hai ham apnī zindagī ko aa.ina rakkheñ
ye chādar kaun oḌhegā agar dhabbe nikal aa.e
mohabbat kā use iqrār karnā hī paḌā lekin
ye sūkhe peḌ se kaise hare patte nikal aa.e
bahut din ba.ad jab maiñ ne ḳhudī kā aa.ina dekhā
to ḳhud mere hī chehre se ka.ī chehre nikal aa.e
kabhī haare sipāhī kī tarah vāpas nahīñ palTe
ham aañsū kī tarah ik baar jo ghar se nikal aa.e
hathelī par ugānā chāhte haiñ khet sarsoñ ke
mire bachche to apnī umr se aage nikal aa.e
julūs-e-amn jab niklā to ham ne 'shauq' ye dekhā
kahīñ ḳhanjar nikal aa.e kahīñ neze nikal aa.e
KHirad ki rah mein har moD par dhoke nikal aae
bisat-e-amn par bhi jang ke naqshe nikal aae
zaruri hai hum apni zindagi ko aaina rakkhen
ye chadar kaun oDhega agar dhabbe nikal aae
mohabbat ka use iqrar karna hi paDa lekin
ye sukhe peD se kaise hare patte nikal aae
bahut din baad jab main ne KHudi ka aaina dekha
to KHud mere hi chehre se kai chehre nikal aae
kabhi haare sipahi ki tarah wapas nahin palTe
hum aansu ki tarah ek bar jo ghar se nikal aae
hatheli par ugana chahte hain khet sarson ke
mere bachche to apni umr se aage nikal aae
julus-e-amn jab nikla to hum ne 'shauq' ye dekha
kahin KHanjar nikal aae kahin neze nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.