KHirad ki zad mein agar gulsitan bhi aata hai
ḳhirad kī zad meñ agar gulsitāñ bhī aatā hai
yaqīn-e-ālam-e-vahm-e-gumāñ bhī aatā hai
gavāh ġhuncha-o-gul haiñ bahār kā mausam
mire chaman meñ ba-rañg-e-ḳhizāñ bhī aatā hai
tire huzūr hai goyā mire laboñ kā sukūt
nigāh-e-ishq ko husn-e-bayāñ bhī aatā hai
mire sulagne kā ahvāl sunñe vāloñ ko
jo uTh rahā hai nazar vo dhuāñ bhī aatā hai
nigāh paḌtī hai jab zaḳhm-hā-e-dil pe mujhe
ḳhayāl-e-mehr-o-mah-o-kahkashāñ bhī aatā hai
nuqūsh-e-sajda usī raah kā muqaddar haiñ
vo raah jis meñ tirā āstāñ bhī aatā hai
maiñ naam bhuul rahā huuñ magar koī 'nashtar'
mujhe sunāne mirī dāstāñ bhī aatā hai
KHirad ki zad mein agar gulsitan bhi aata hai
yaqin-e-alam-e-wahm-e-guman bhi aata hai
gawah ghuncha-o-gul hain bahaar ka mausam
mere chaman mein ba-rang-e-KHizan bhi aata hai
tere huzur hai goya mere labon ka sukut
nigah-e-ishq ko husn-e-bayan bhi aata hai
mere sulagne ka ahwal sunne walon ko
jo uTh raha hai nazar wo dhuan bhi aata hai
nigah paDti hai jab zaKHm-ha-e-dil pe mujhe
KHayal-e-mehr-o-mah-o-kahkashan bhi aata hai
nuqush-e-sajda usi rah ka muqaddar hain
wo rah jis mein tera aastan bhi aata hai
main nam bhul raha hun magar koi 'nashtar'
mujhe sunane meri dastan bhi aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.