KHirad se aise uljhe hain ki suljhae nahin jate
ḳhirad se aise uljhe haiñ ki suljhā.e nahīñ jaate
jahāñ meñ ham se dīvāne kahīñ paa.e nahīñ jaate
hamārā aur guloñ kā rang-e-vahshat ek jaisā hai
nikal jaate haiñ yuuñ dāman ki silvā.e nahīñ jaate
baġhair un ke basā-auqāt ye mahsūs hotā hai
ki jaise ham do 'ālam meñ kahīñ paa.e nahīñ jaate
sukūñ kī justujū āsūdgī kī ārzūoñ ne
qadam aise nikāle haiñ ki Thahrā.e nahīñ jaate
tirī maḳhmūr āñkhoñ meñ tire gul-rang hoñToñ par
hazāroñ giit aise bhī haiñ jo gaa.e nahīñ jaate
ḳhushī kī chhāñv meñ baiThe ġhamoñ kī dhuup bhī jhelī
ḳhayāloñ se tirī dīvār ke saa.e nahīñ jaate
hamārī tishnagī kī sharm rakh le sāqi-e-mahfil
bharī mahfil meñ ham se haath phailā.e nahīñ jaate
chalo ḳhud hī 'adīb' us bazm meñ tum bhī ki parvāne
huzūr-e-sham’ ḳhud jaate haiñ bulvā.e nahīñ jaate
KHirad se aise uljhe hain ki suljhae nahin jate
jahan mein hum se diwane kahin pae nahin jate
hamara aur gulon ka rang-e-wahshat ek jaisa hai
nikal jate hain yun daman ki silwae nahin jate
baghair un ke basa-auqat ye mahsus hota hai
ki jaise hum do 'alam mein kahin pae nahin jate
sukun ki justuju aasudgi ki aarzuon ne
qadam aise nikale hain ki Thahrae nahin jate
teri maKHmur aankhon mein tere gul-rang honTon par
hazaron git aise bhi hain jo gae nahin jate
KHushi ki chhanw mein baiThe ghamon ki dhup bhi jheli
KHayalon se teri diwar ke sae nahin jate
hamari tishnagi ki sharm rakh le saqi-e-mahfil
bhari mahfil mein hum se hath phailae nahin jate
chalo KHud hi 'adib' us bazm mein tum bhi ki parwane
huzur-e-sham’ KHud jate hain bulwae nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.