KHizan-dida gulistan ka nazara kar liya maine
KHizan-dida gulistan ka nazara kar liya maine
Krishn Gopal Maghmum
MORE BYKrishn Gopal Maghmum
ḳhizāñ-dīda gulistāñ kā nazārā kar liyā maiñ ne
na pā kar phuul kāñToñ hī se dāman bhar liyā maiñ ne
mujhī se uTh na paayā baar tablīġh-e-mohabbat kā
shar-o-fitna kā har ilzām apne sar liyā maiñ ne
darūn-e-mai-kada dekhī ġhalat-baḳhshī jo saaqī kī
to apne āñsuoñ se apnā sāġhar bhar liyā maiñ ne
ḳhulūs-e-dil se ab tanqīd karnā farz Thahrā hai
qalam kab hai qalam ab haath meñ nashtar liyā maiñ ne
mujhe kyā ḳhauf hastī kī kisī bhī zahr-nākī kā
ki zahr-e-hijr-e-jānāñ tak gavārā kar liyā maiñ ne
mire fan ne jilā paa.ī hai har tanqīd jaa.ez hai
har ik tanqīd-e-jā.ez ko sar āñkhoñ par liyā maiñ ne
ḳhudā ke fazl se maiñ mutma.in huuñ aur shākir bhī
baḌī himmat se har maidān ko sar kar liyā maiñ ne
mujhe 'maġhmūm' ab ho muḳhlisī is marne jiine se
bahut kuchh jī liyā maiñ ne bahut kuchh mar liyā maiñ ne
KHizan-dida gulistan ka nazara kar liya main ne
na pa kar phul kanTon hi se daman bhar liya main ne
mujhi se uTh na paya bar tabligh-e-mohabbat ka
shar-o-fitna ka har ilzam apne sar liya main ne
darun-e-mai-kada dekhi ghalat-baKHshi jo saqi ki
to apne aansuon se apna saghar bhar liya main ne
KHulus-e-dil se ab tanqid karna farz Thahra hai
qalam kab hai qalam ab hath mein nashtar liya main ne
mujhe kya KHauf hasti ki kisi bhi zahr-naki ka
ki zahr-e-hijr-e-jaanan tak gawara kar liya main ne
mere fan ne jila pai hai har tanqid jaez hai
har ek tanqid-e-jaez ko sar aankhon par liya main ne
KHuda ke fazl se main mutmain hun aur shakir bhi
baDi himmat se har maidan ko sar kar liya main ne
mujhe 'maghmum' ab ho muKHlisi is marne jine se
bahut kuchh ji liya main ne bahut kuchh mar liya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.