KHizan jo aai bahaaron ne sath chhoD diya
ḳhizāñ jo aa.ī bahāroñ ne saath chhoḌ diyā
paḌā jo vaqt to yāroñ ne saath chhoḌ diyā
gila kareñ bhī to ġhairoñ kā kis tarah se kareñ
hamārā jab ki hamāroñ ne saath chhoḌ diyā
jinhoñ ne apnā banāyā thā zindagī meñ kabhī
unhīñ hasīn sahāroñ ne saath chhoḌ diyā
tamām raat sitāroñ se guftugū meñ kaTī
sahar huī to sitāroñ ne saath chhoḌ diyā
maiñ ḳhud hī ġharq-e-tamannā huā huuñ ai 'māhir'
vo kah rahe haiñ kināroñ ne saath chhoḌ diyā
KHizan jo aai bahaaron ne sath chhoD diya
paDa jo waqt to yaron ne sath chhoD diya
gila karen bhi to ghairon ka kis tarah se karen
hamara jab ki hamaron ne sath chhoD diya
jinhon ne apna banaya tha zindagi mein kabhi
unhin hasin sahaaron ne sath chhoD diya
tamam raat sitaron se guftugu mein kaTi
sahar hui to sitaron ne sath chhoD diya
main KHud hi gharq-e-tamanna hua hun ai 'mahir'
wo kah rahe hain kinaron ne sath chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.