KHizan ke daur mein khilti bahaar mere liye
ḳhizāñ ke daur meñ khiltī bahār mere liye
ḳhudā ne bhejā hai ik ġham-gusār mere liye
vo kah rahā hai maiñ us ko 'azīz huuñ itnī
karegā vaqf vo lail-o-nahār mere liye
kaThin safar ye agar us ke saath guzre to
ye sang-o-ḳhisht bhī haiñ lāla-zār mere liye
kaḌā hai vaqt to nazreñ churā ke guzrā hai
jo kar rahā thā zamāna nisār mere liye
sunā hai nazmeñ bhī likhtā hai ab judā.ī par
ki ho rahā hai baḌā dil-figār mere liye
dar-e-batūl kī adnā sī ik kanīz huuñ maiñ
yahī havāla hai sad-iftiḳhār mere liye
KHizan ke daur mein khilti bahaar mere liye
KHuda ne bheja hai ek gham-gusar mere liye
wo kah raha hai main us ko 'aziz hun itni
karega waqf wo lail-o-nahaar mere liye
kaThin safar ye agar us ke sath guzre to
ye sang-o-KHisht bhi hain lala-zar mere liye
kaDa hai waqt to nazren chura ke guzra hai
jo kar raha tha zamana nisar mere liye
suna hai nazmen bhi likhta hai ab judai par
ki ho raha hai baDa dil-figar mere liye
dar-e-batul ki adna si ek kaniz hun main
yahi hawala hai sad-iftiKHar mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.