KHizan ke KHwab mein phulon ka taKHt ban ke milun
ḳhizāñ ke ḳhvāb meñ phūloñ kā taḳht ban ke milūñ
tujhe milūñ to maiñ kaḌiyal daraḳht ban ke milūñ
bhaTakne vaale tujhe raat ke samundar meñ
maiñ ik sitāre kī mānind baḳht ban ke milūñ
mire parinde tujhe fāsloñ ke mausam meñ
tirī saver kā maiñ sāz-o-raḳht ban ke milūñ
añdherī raat meñ vo chāñd sair ko nikle
maiñ us ko jhiil kabhī ik daraḳht ban ke milūñ
charāġh-e-harf kī hurmat kā paas hai varna
karaḳht baat pe us ko karaḳht ban ke milūñ
KHizan ke KHwab mein phulon ka taKHt ban ke milun
tujhe milun to main kaDiyal daraKHt ban ke milun
bhaTakne wale tujhe raat ke samundar mein
main ek sitare ki manind baKHt ban ke milun
mere parinde tujhe faslon ke mausam mein
teri sawer ka main saz-o-raKHt ban ke milun
andheri raat mein wo chand sair ko nikle
main us ko jhil kabhi ek daraKHt ban ke milun
charagh-e-harf ki hurmat ka pas hai warna
karaKHt baat pe us ko karaKHt ban ke milun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.