KHizan ki chah mein khilte chaman ko chhoD diya
KHizan ki chah mein khilte chaman ko chhoD diya
Irshad Qamar Bukhari
MORE BYIrshad Qamar Bukhari
ḳhizāñ kī chaah meñ khilte chaman ko chhoḌ diyā
talāsh-e-rizq meñ nikalne vatan ko chhoḌ diyā
chale the ghar se asāse meñ hijrateñ le kar
tamām umr kī dil meñ chubhan ko chhoḌ diyā
lagā kuchh aisā jo bichhḌe ham apne pyāroñ se
ki jaise ruuh ne apne badan ko chhoḌ diyā
unhī ke dam se sañvarte the sab hunar mere
jo vo nahīñ haiñ to har ek fan ko chhoḌ diyā
vo jis ke vasl meñ naġhme likhe kabhī ham ne
usī ke hijr meñ ham ne suḳhan ko chhoḌ diyā
ab us kī yaad meñ rātoñ kā chain khote haiñ
'qamar' ye kis se kaheñ kyoñ vatan ko chhoḌ diyā
KHizan ki chah mein khilte chaman ko chhoD diya
talash-e-rizq mein nikalne watan ko chhoD diya
chale the ghar se asase mein hijraten le kar
tamam umr ki dil mein chubhan ko chhoD diya
laga kuchh aisa jo bichhDe hum apne pyaron se
ki jaise ruh ne apne badan ko chhoD diya
unhi ke dam se sanwarte the sab hunar mere
jo wo nahin hain to har ek fan ko chhoD diya
wo jis ke wasl mein naghme likhe kabhi hum ne
usi ke hijr mein hum ne suKHan ko chhoD diya
ab us ki yaad mein raaton ka chain khote hain
'qamar' ye kis se kahen kyon watan ko chhoD diya
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 598)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.