KHizan ki rut mein ye mashghala tha
ḳhizāñ kī rut meñ ye mashġhala thā
maiñ bikhre patte sameTtā thā
‘ajīb-tar thiiñ tumhārī yādeñ
maiñ zinda rah kar na jī sakā thā
chalī thī mujh meñ ik aisī āñdhī
ki dil kā ḳhema ukhaḌ gayā thā
baras rahī thī ye kaisī bārish
ki dard mujh meñ Tapak rahā thā
bahā thā āñkhoñ se merī aañsū
ki koī manzar pighal gayā thā
rukā huā huuñ maiñ jis kī ḳhātir
vo merī ḳhātir na ruk sakā thā
vo mujh pe utrā 'azāb ban kar
jo dil ke mandir kā devtā thā
KHizan ki rut mein ye mashghala tha
main bikhre patte sameTta tha
‘ajib-tar thin tumhaari yaaden
main zinda rah kar na ji saka tha
chali thi mujh mein ek aisi aandhi
ki dil ka KHema ukhaD gaya tha
baras rahi thi ye kaisi barish
ki dard mujh mein Tapak raha tha
baha tha aankhon se meri aansu
ki koi manzar pighal gaya tha
ruka hua hun main jis ki KHatir
wo meri KHatir na ruk saka tha
wo mujh pe utra 'azab ban kar
jo dil ke mandir ka dewta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.