KHizan ki sham ke manzar ko bhar Dala parindon ne
KHizan ki sham ke manzar ko bhar Dala parindon ne
Wali Alam Shaheen
MORE BYWali Alam Shaheen
ḳhizāñ kī shaam ke manzar ko bhar Daalā parindoñ ne
ufuq ko aur bhī tārīk kar Daalā parindoñ ne
mujhe phir kaun sī miTTī meñ ab ke sar uThānā hai
ye ik qarza bhī mere naam par Daalā parindoñ ne
lahū meñ kuchh na ho phir bhī lahū kī bū to hotī hai
ḳhud apne hī lahū ko ḳhvār kar Daalā parindoñ ne
thake-hāre jahāñ shab-bhar baserā karne aa.e the
charindoñ kī tarah vo khet char Daalā parindoñ ne
vo rut aa.ī havā sab ho ga.e patte daraḳhtoñ ke
magar yuuñ bhī huā shāḳhoñ ko bhar Daalā parindoñ ne
ye koshish thī ki bāham daam ko hī le uḌeñ lekin
tane halqoñ ko itne meñ kutar Daalā parindoñ ne
hameñ ma.alūm hai kab kaun dahshat-gard bantā hai
shikam kī aag ko hathiyār kar Daalā parindoñ ne
vahāñ 'shāhīn' chhājoñ der tak rahmat barastī hai
sar-e-gulzār dhyān apnā jidhar Daalā parindoñ ne
KHizan ki sham ke manzar ko bhar Dala parindon ne
ufuq ko aur bhi tarik kar Dala parindon ne
mujhe phir kaun si miTTi mein ab ke sar uThana hai
ye ek qarza bhi mere nam par Dala parindon ne
lahu mein kuchh na ho phir bhi lahu ki bu to hoti hai
KHud apne hi lahu ko KHwar kar Dala parindon ne
thake-haare jahan shab-bhar basera karne aae the
charindon ki tarah wo khet char Dala parindon ne
wo rut aai hawa sab ho gae patte daraKHton ke
magar yun bhi hua shaKHon ko bhar Dala parindon ne
ye koshish thi ki baham dam ko hi le uDen lekin
tane halqon ko itne mein kutar Dala parindon ne
hamein malum hai kab kaun dahshat-gard banta hai
shikam ki aag ko hathiyar kar Dala parindon ne
wahan 'shahin' chhajon der tak rahmat barasti hai
sar-e-gulzar dhyan apna jidhar Dala parindon ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.