KHizan ki zad mein gul-e-tar hai kya kiya jae
ḳhizāñ kī zad meñ gul-e-tar hai kyā kiyā jaa.e
yahī chaman kā muqaddar hai kyā kiyā jaa.e
dil-o-nigāh ko jis se sukūñ mayassar thā
lahū lahū vahī manzar hai kyā kiyā jaa.e
buland-o-past kā har imtiyāz be-ma.anī
ajiib vaqt kā tevar hai kyā kiyā jaa.e
ḳhudā kā shukr hai jis haal meñ guzar jaa.e
ik intishār to ghar ghar hai kyā kiyā jaa.e
zabāñ se phuul baraste haiñ guftugū aisī
aur āstīnoñ meñ ḳhanjar hai kyā kiyā jaa.e
jo apnī zaat kī tārīkiyoñ meñ gum hai abhī
vo sub.h-e-nau kā payambar hai kyā kiyā jaa.e
kahāñ talak koī parkhe ki ab ba-sūrat-e-ḳhair
qadam qadam pe ajab shar hai kyā kiyā jaa.e
kahāñ kā jazba-e-hubb-e-vatan kahāñ kā ḳhulūs
bas eqtidār kā chakkar hai kyā kiyā jaa.e
qadam qadam pe hai ġhauġhā-e-bartarī kā junūñ
har ek ek se baḌh kar hai kyā kiyā jaa.e
jo gul-ba-dast the 'fāḳhir' kabhī hamāre liye
unhīñ ke haath meñ patthar hai kyā kiyā jaa.e
KHizan ki zad mein gul-e-tar hai kya kiya jae
yahi chaman ka muqaddar hai kya kiya jae
dil-o-nigah ko jis se sukun mayassar tha
lahu lahu wahi manzar hai kya kiya jae
buland-o-past ka har imtiyaz be-mani
ajib waqt ka tewar hai kya kiya jae
KHuda ka shukr hai jis haal mein guzar jae
ek intishaar to ghar ghar hai kya kiya jae
zaban se phul baraste hain guftugu aisi
aur aastinon mein KHanjar hai kya kiya jae
jo apni zat ki tarikiyon mein gum hai abhi
wo subh-e-nau ka payambar hai kya kiya jae
kahan talak koi parkhe ki ab ba-surat-e-KHair
qadam qadam pe ajab shar hai kya kiya jae
kahan ka jazba-e-hubb-e-watan kahan ka KHulus
bas eqtidar ka chakkar hai kya kiya jae
qadam qadam pe hai ghaugha-e-bartari ka junun
har ek ek se baDh kar hai kya kiya jae
jo gul-ba-dast the 'faKHir' kabhi hamare liye
unhin ke hath mein patthar hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.