KHizan ko kaif-e-bahaaran to ho gaya malum
ḳhizāñ ko kaif-e-bahārāñ to ho gayā ma.alūm
magar chaman pe jo guzrī hai us ko kyā ma.alūm
talāsh kartā huuñ muddat se apne aap ko maiñ
kahāñ pe TuuT gayā kho gayā ḳhudā ma.alūm
mujhe ye naaz ki harf-e-vafā pe qaa.em huuñ
unheñ ġhurūr ki ulfat kā mudda.ā ma.alūm
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā meñ bhejne vaale
bhaTak rahā huuñ añdhere meñ tujh ko kyā ma.alūm
vo log vaqt ke dhāre badalte rahte haiñ
jinheñ ye vaqt kā andāz-o-silsila ma.alūm
vo ek shaḳhs jo kāñToñ pe raqs kartā thā
usī kā ḳhuun hai gulshan kī ibtidā ma.alūm
chalo ki aaj usī mah-jabīñ kī baat kareñ
jise vafā kā salīqa na hai vafā ma.alūm
udaas udaas se chehre bujhe bujhe se badan
ye kaisī bastī meñ maiñ aa gayā ḳhudā ma.alūm
kitāb-e-zīst meñ likkhā gayā hai surḳhī se
ġham-e-hayāt hai 'sādiq' kā azm-e-nā-ma.alūm
KHizan ko kaif-e-bahaaran to ho gaya malum
magar chaman pe jo guzri hai us ko kya malum
talash karta hun muddat se apne aap ko main
kahan pe TuT gaya kho gaya KHuda malum
mujhe ye naz ki harf-e-wafa pe qaem hun
unhen ghurur ki ulfat ka muddaa malum
KHayal-o-KHwab ki duniya mein bhejne wale
bhaTak raha hun andhere mein tujh ko kya malum
wo log waqt ke dhaare badalte rahte hain
jinhen ye waqt ka andaz-o-silsila malum
wo ek shaKHs jo kanTon pe raqs karta tha
usi ka KHun hai gulshan ki ibtida malum
chalo ki aaj usi mah-jabin ki baat karen
jise wafa ka saliqa na hai wafa malum
udas udas se chehre bujhe bujhe se badan
ye kaisi basti mein main aa gaya KHuda malum
kitab-e-zist mein likkha gaya hai surKHi se
gham-e-hayat hai 'sadiq' ka azm-e-na-malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.