KHizan mein bhi mayus kab ye shajar hai
ḳhizāñ meñ bhī māyūs kab ye shajar hai
bharosa use apnī har shāḳh par hai
rakhe biich lāshoñ ke bhī ḳhud ko zinda
anokhā ye ik zindagī kā hunar hai
jo haiñ sochte Duub jaatā hai sūraj
batā duuñ bahut tang un kī nazar hai
pahuñchnā hai us paar laḌ kar usī se
chahetī samundar kī jo ye lahar hai
dikhānā na har ek jalva abhī se
ki is jashn kā daur to raat bhar hai
tijārat meñ patthar kī mat bhūlnā ye
tumhārā ḳhud apnā bhī shīshe kā ghar hai
ujāle to haiñ par hai tujh meñ tapish bhī
batā kyā tū jaltī huī dopahar hai
KHizan mein bhi mayus kab ye shajar hai
bharosa use apni har shaKH par hai
rakhe bich lashon ke bhi KHud ko zinda
anokha ye ek zindagi ka hunar hai
jo hain sochte Dub jata hai suraj
bata dun bahut tang un ki nazar hai
pahunchna hai us par laD kar usi se
chaheti samundar ki jo ye lahar hai
dikhana na har ek jalwa abhi se
ki is jashn ka daur to raat bhar hai
tijarat mein patthar ki mat bhulna ye
tumhaara KHud apna bhi shishe ka ghar hai
ujale to hain par hai tujh mein tapish bhi
bata kya tu jalti hui dopahar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.