KHizan mein sukh bhi sakti hai phulwari hamari
ḳhizāñ meñ suukh bhī saktī hai phulvārī hamārī
suḳhan-kārī meñ dekhe koī gul-kārī hamārī
ik aisī sinf pe mabnī hai fankārī hamārī
chhupāne se nahīñ chhuptī hai dildārī hamārī
nahīñ milte jo ham un se bhī milnā chāhte haiñ
bahut rusvā karātī hai milan-sārī hamārī
tumhāre aane ke imkāñ nazar aate haiñ ham ko
ziyāda khil rahī hai aaj phulvārī hamārī
ham ab mushkil-pasandī kī taraf baḌhne lage haiñ
use mushkil lagā kartī thī hamvārī hamārī
chalo maanā ki us sūrat meñ bhī ham haar jaate
magar karte to tum thoḌī taraf-dārī hamārī
KHizan mein sukh bhi sakti hai phulwari hamari
suKHan-kari mein dekhe koi gul-kari hamari
ek aisi sinf pe mabni hai fankari hamari
chhupane se nahin chhupti hai dildari hamari
nahin milte jo hum un se bhi milna chahte hain
bahut ruswa karaati hai milan-sari hamari
tumhaare aane ke imkan nazar aate hain hum ko
ziyaada khil rahi hai aaj phulwari hamari
hum ab mushkil-pasandi ki taraf baDhne lage hain
use mushkil laga karti thi hamwari hamari
chalo mana ki us surat mein bhi hum haar jate
magar karte to tum thoDi taraf-dari hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.