KHizan mile ki hamein mausam-e-bahaar mile
ḳhizāñ mile ki hameñ mausam-e-bahār mile
yahāñ vo dil hī nahīñ hai jise qarār mile
tamām umr ibādat kī nazr kar Dālūñ
bas ek baar tabī.at pe iḳhtiyār mile
hamīñ ko tark-e-talab raas aa ga.ī varna
tire karam ke ishāre to be-shumār mile
sadā rahe haiñ muqaddar ke iḳhtiyār meñ ham
kabhī hameñ bhī muqaddar pe iḳhtiyār mile
tamām log samajhte the tum na aaoge
tamām log magar mahv-e-intizār mile
rahe kisī kī nigāhoñ meñ ġhair hī 'ishrat'
ham ek baar mile yā hazār baar mile
KHizan mile ki hamein mausam-e-bahaar mile
yahan wo dil hi nahin hai jise qarar mile
tamam umr ibaadat ki nazr kar Dalun
bas ek bar tabiat pe iKHtiyar mile
hamin ko tark-e-talab ras aa gai warna
tere karam ke ishaare to be-shumar mile
sada rahe hain muqaddar ke iKHtiyar mein hum
kabhi hamein bhi muqaddar pe iKHtiyar mile
tamam log samajhte the tum na aaoge
tamam log magar mahw-e-intizar mile
rahe kisi ki nigahon mein ghair hi 'ishrat'
hum ek bar mile ya hazar bar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.