KHizan-rasida chaman mein bahaar rakh dena
KHizan-rasida chaman mein bahaar rakh dena
Ustad Vajahat Husain Khan
MORE BYUstad Vajahat Husain Khan
ḳhizāñ-rasīda chaman meñ bahār rakh denā
koī charāġh sar-e-rahguzār rakh denā
maiñ dil-fasurda sahī dil dikhā nahīñ saktā
hamāre rishtoñ meñ tum e'tibār rakh denā
ye dil-fareb nazāre ye dil-nashīñ chehre
ġharīb āñkhoñ meñ apnā dayār rakh denā
mirā vajūd agar bojh lagne lag jaa.e
to darmiyān meñ tum apnā pyaar rakh denā
jo maañg kar na mile haq to chhīn le baḌh kar
uThā ke taaq pe apne shi'ār rakh denā
hamāre 'ahd ke bachche zahīn haiñ phir bhī
tum apne hisse kā kuchh un pe baar rakh denā
jahāñ kī riit 'vajāhat' yahī to dekhī hai
vafā kī raah meñ kāñTe hazār rakh denā
KHizan-rasida chaman mein bahaar rakh dena
koi charagh sar-e-rahguzar rakh dena
main dil-fasurda sahi dil dikha nahin sakta
hamare rishton mein tum e'tibar rakh dena
ye dil-fareb nazare ye dil-nashin chehre
gharib aankhon mein apna dayar rakh dena
mera wajud agar bojh lagne lag jae
to darmiyan mein tum apna pyar rakh dena
jo mang kar na mile haq to chhin le baDh kar
uTha ke taq pe apne shi'ar rakh dena
hamare 'ahd ke bachche zahin hain phir bhi
tum apne hisse ka kuchh un pe bar rakh dena
jahan ki rit 'wajahat' yahi to dekhi hai
wafa ki rah mein kanTe hazar rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.