KHizan se manus ho chuke hain nahin KHabar kuchh bahaar kya hai
KHizan se manus ho chuke hain nahin KHabar kuchh bahaar kya hai
Altaf Mashhadi
MORE BYAltaf Mashhadi
ḳhizāñ se mānūs ho chuke haiñ nahīñ ḳhabar kuchh bahār kyā hai
taḌap kī lazzat hai jin ko hāsil nazar meñ un kī qarār kyā hai
bachegā kab tak ġharīb insāñ havādis-e-gardish-e-zamāñ se
havā ke jhoñkoñ meñ jal sakegā charāġh ye e'tibār kyā hai
qarīb ho kar bhī duur haiñ jaise ek dariyā ke do kināre
yūñhī gulistāñ meñ rah ke bhī ham nahīñ haiñ vāqif bahār kyā hai
chaman ke ho kar jo jī rahe haiñ ḳhizāñ hai rashk-e-bahār un kī
parastish-e-gulsitāñ hī Thahrī to farq-e-ġhuncha-o-ḳhār kyā hai
nashāt-e-vasl-o-sharāb-e-dīdār par jo kam-zarf mutma.in haiñ
unheñ koī kis tarah batā.e ta.ayyush-e-intizār kyā hai
ḳhudā-rā 'altāf' mujh se ahbāb merī tanhā.iyāñ na chhīneñ
ġhamoñ ke hote hue kisī ko zarūrat-e-ġham-gusār kyā hai
KHizan se manus ho chuke hain nahin KHabar kuchh bahaar kya hai
taDap ki lazzat hai jin ko hasil nazar mein un ki qarar kya hai
bachega kab tak gharib insan hawadis-e-gardish-e-zaman se
hawa ke jhonkon mein jal sakega charagh ye e'tibar kya hai
qarib ho kar bhi dur hain jaise ek dariya ke do kinare
yunhi gulistan mein rah ke bhi hum nahin hain waqif bahaar kya hai
chaman ke ho kar jo ji rahe hain KHizan hai rashk-e-bahaar un ki
parastish-e-gulsitan hi Thahri to farq-e-ghuncha-o-KHar kya hai
nashat-e-wasl-o-sharab-e-didar par jo kam-zarf mutmain hain
unhen koi kis tarah batae tayyush-e-intizar kya hai
KHuda-ra 'altaf' mujh se ahbab meri tanhaiyan na chhinen
ghamon ke hote hue kisi ko zarurat-e-gham-gusar kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.