KHizan se milti hai ja kar bahaar ki sarhad
ḳhizāñ se miltī hai jā kar bahār kī sarhad
magar kahāñ hai dil-e-be-qarār kī sarhad
jo fāsle haiñ unheñ barqarār rahne de
banā rahe haiñ jo mere vaqār kī sarhad
jahāñ meñ ghuum rahā huuñ talāsh meñ us kī
kahīñ to hogī mire intizār kī sarhad
jo is taraf hai jahannum to us taraf jannat
nahīñ hai nuur kī sarhad na naar kī sarhad
qadam qadam pe mujhe be-qarāriyāñ hī milīñ
milī na mujh ko kahīñ bhī qarār kī sarhad
jo us kī aañkh se ik baar pī ke paayā thā
talāshtā huuñ 'nadīm' us ḳhumār kī sarhad
KHizan se milti hai ja kar bahaar ki sarhad
magar kahan hai dil-e-be-qarar ki sarhad
jo fasle hain unhen barqarar rahne de
bana rahe hain jo mere waqar ki sarhad
jahan mein ghum raha hun talash mein us ki
kahin to hogi mere intizar ki sarhad
jo is taraf hai jahannum to us taraf jannat
nahin hai nur ki sarhad na nar ki sarhad
qadam qadam pe mujhe be-qarariyan hi milin
mili na mujh ko kahin bhi qarar ki sarhad
jo us ki aankh se ek bar pi ke paya tha
talashta hun 'nadim' us KHumar ki sarhad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.