KHizan se sina bhara ho lekin tum apna chehra gulab rakhna
ḳhizāñ se siina bharā ho lekin tum apnā chehra gulāb rakhnā
tamām ta.abīr us ko denā aur apne hisse meñ ḳhvāb rakhnā
har ik zamīñ se har āsmāñ se har ik zamāñ se guzarte rahnā
kahīñ pe taare bikher denā kahīñ koī māhtāb rakhnā
jo be-gharī ke dukhoñ se tum bhī udaas ho jaao haar jaao
to āñsuoñ se makāñ banānā aur us ke uupar sahāb rakhnā
jo an-kahe haiñ jo an-sune haiñ vo saare manzar bhī dekh loge
bas apnī āñkhoñ kī chup meñ raushan mohabbatoñ ke azaab rakhnā
muhīb rātoñ ke jañgaloñ meñ abad ke jaisā sukūt ho jab
lahū kā apne diyā jalānā aur apnā chehra kitāb rakhnā
tum apne andar kī hijratoñ se niDhāl ho kar jo lauTnā to
na ḳhud se koī savāl karnā na paas apne javāb rakhnā
ye zindagī to safar hai 'sābir' safar meñ jab bhī kisī se milnā
tamām sadme bhulāte rahnā muhāl hogā hisāb rakhnā
KHizan se sina bhara ho lekin tum apna chehra gulab rakhna
tamam tabir us ko dena aur apne hisse mein KHwab rakhna
har ek zamin se har aasman se har ek zaman se guzarte rahna
kahin pe tare bikher dena kahin koi mahtab rakhna
jo be-ghari ke dukhon se tum bhi udas ho jao haar jao
to aansuon se makan banana aur us ke upar sahab rakhna
jo an-kahe hain jo an-sune hain wo sare manzar bhi dekh loge
bas apni aankhon ki chup mein raushan mohabbaton ke azab rakhna
muhib raaton ke jangalon mein abad ke jaisa sukut ho jab
lahu ka apne diya jalana aur apna chehra kitab rakhna
tum apne andar ki hijraton se niDhaal ho kar jo lauTna to
na KHud se koi sawal karna na pas apne jawab rakhna
ye zindagi to safar hai 'sabir' safar mein jab bhi kisi se milna
tamam sadme bhulate rahna muhaal hoga hisab rakhna
- Book : meyaar (Pg. 368)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.