KHizr se kab hai chhupa kuchh meri manzil ke siwa
ḳhizr se kab hai chhupā kuchh mirī manzil ke sivā
jis se vāqif nahīñ koī bhī mire dil ke sivā
ham qalandar haiñ jahāñ chāheñge jā baiTheñge
aur bhī to haiñ Thikāne tirī mahfil ke sivā
jaan denā hai to phir minnat-e-qātil hī kyoñ
aur bhī to haiñ vasā.il kaf-e-qātil ke sivā
kaun hai nāqa-nashīñ kaun samajh paa.e ise
jab nazar aa.e na kuchh parda-e-mahmil ke sivā
shahr ke dūsre ruḳh ko bhī farāmosh na kar
jhoñpaḌe bhī haiñ falak-bos manāzil ke sivā
zor-e-bāzū ko zarā us ke bhī dekheñ kyā harj
band rāheñ haiñ jo sab kūcha-e-qātil ke sivā
hai zarūrī ki ho tā.īd-e-ḳhudāvandī bhī
kaam banñe ke liye apne vasā.il ke sivā
chup na hogā hai 'valī' vaqt kā apne suqrāt
kuchh ilaaj us kā nahīñ zahr-e-halāhil ke sivā
KHizr se kab hai chhupa kuchh meri manzil ke siwa
jis se waqif nahin koi bhi mere dil ke siwa
hum qalandar hain jahan chahenge ja baiThenge
aur bhi to hain Thikane teri mahfil ke siwa
jaan dena hai to phir minnat-e-qatil hi kyon
aur bhi to hain wasail kaf-e-qatil ke siwa
kaun hai naqa-nashin kaun samajh pae ise
jab nazar aae na kuchh parda-e-mahmil ke siwa
shahr ke dusre ruKH ko bhi faramosh na kar
jhonpaDe bhi hain falak-bos manazil ke siwa
zor-e-bazu ko zara us ke bhi dekhen kya harj
band rahen hain jo sab kucha-e-qatil ke siwa
hai zaruri ki ho taid-e-KHudawandi bhi
kaam banne ke liye apne wasail ke siwa
chup na hoga hai 'wali' waqt ka apne suqraat
kuchh ilaj us ka nahin zahr-e-halahil ke siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.