kho dene ka dil bharne ka thak jaane ka KHauf
kho dene kā dil bharne kā thak jaane kā ḳhauf
ek tire hone se chakkhā kaisā kaisā ḳhauf
tum the lekin do hissoñ meñ baTe hue the tum
aañkh khulī to bistar kī har silvaT meñ thā ḳhauf
ham donoñ ke sāmne bahtā vaqt ā.īna thā
mujh ko us ne ḳhvāb dikhā.e tujhe dikhāyā ḳhauf
is raste par mujh se pahle koī nahīñ aayā
ek anokhī sarshārī hai ik an-jānā ḳhauf
isī liye maiñ sambhal sambhal kar qadam uThātī huuñ
itnī bulandī se rahtā hai gir jaane kā ḳhauf
in logoñ ko kyā lagtā hai Dar jā.ūñgī maiñ
ye ḳhud mujh se Dare hue haiñ in se kaisā ḳhauf
vaqt kī āñdhī le uḌtī hai kaise kaise log
soch ke dil ko ḳhauf aatā hai achchhā-ḳhāsā ḳhauf
ab khiḌkī par jamī huī har aañkh se jhāñktā hai
is bārish meñ āḳhirī pattā jhaḌ jaane kā ḳhauf
kho dene ka dil bharne ka thak jaane ka KHauf
ek tere hone se chakkha kaisa kaisa KHauf
tum the lekin do hisson mein baTe hue the tum
aankh khuli to bistar ki har silwaT mein tha KHauf
hum donon ke samne bahta waqt aaina tha
mujh ko us ne KHwab dikhae tujhe dikhaya KHauf
is raste par mujh se pahle koi nahin aaya
ek anokhi sarshaari hai ek an-jaana KHauf
isi liye main sambhal sambhal kar qadam uThati hun
itni bulandi se rahta hai gir jaane ka KHauf
in logon ko kya lagta hai Dar jaungi main
ye KHud mujh se Dare hue hain in se kaisa KHauf
waqt ki aandhi le uDti hai kaise kaise log
soch ke dil ko KHauf aata hai achchha-KHasa KHauf
ab khiDki par jami hui har aankh se jhankta hai
is barish mein aaKHiri patta jhaD jaane ka KHauf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.