kho gae harf-o-maani mere
kho ga.e harf-o-ma.ānī mere
kyā kiyā dushman-e-jānī mere
maiñ ne dariyā se ravānī chāhī
ḳhvāb saare hue paanī mere
saare manzar haiñ nazar meñ ab tak
dukh sabhī ke hue ya.anī mere
mujh se nārāz na honā sāhab
tum hī ġham-ḳhvār ho saanī mere
ret kā Dher hai buniyād mirī
tū ne ye kyā kiyā baanī mere
bhiiḌ meñ jaane kahāñ chhūT ga.e
monis-e-ahd-e-javānī mere
aks mub.ham hue ā.īne meñ
saare kirdār the faanī mere
kho gae harf-o-maani mere
kya kiya dushman-e-jaani mere
main ne dariya se rawani chahi
KHwab sare hue pani mere
sare manzar hain nazar mein ab tak
dukh sabhi ke hue yani mere
mujh se naraaz na hona sahab
tum hi gham-KHwar ho sani mere
ret ka Dher hai buniyaad meri
tu ne ye kya kiya bani mere
bhiD mein jaane kahan chhuT gae
monis-e-ahd-e-jawani mere
aks mubham hue aaine mein
sare kirdar the fani mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.