kho gae ho tum jab se waqt ki KHalaon mein
kho gae ho tum jab se waqt ki KHalaon mein
Elizabeth Kurian Mona
MORE BYElizabeth Kurian Mona
kho ga.e ho tum jab se vaqt kī ḳhalāoñ meñ
māñgtī huuñ maiñ tum ko rāt-din du'āoñ meñ
mujh ko thī ye ḳhush-fahmī phir bahār aa.egī
raunaqeñ kahāñ ātīñ dil ke in ḳhizāoñ meñ
dil dhaḌakne lagtā hai sun ke halkī aahaT bhī
tere pyaar kī dastak jo huī havāoñ meñ
bhūlne kī koshish bhī kāmyāb kyā hotī
'aks terā dikhtā hai mujh ko sab dishāoñ meñ
saath terā pā.ūñ gar khil uThegā phir jīvan
intizār kā 'ālam hai abhī fazāoñ meñ
phir se shām-e-tanhā.ī yaad terī laa.ī hai
phir se kho gayā hai dil maazī kī guphāoñ meñ
kyā gila karūñ 'monā' terī bevafā.ī kā
jab vafā nahīñ shāmil husn kī adāoñ meñ
kho gae ho tum jab se waqt ki KHalaon mein
mangti hun main tum ko raat-din du'aon mein
mujh ko thi ye KHush-fahmi phir bahaar aaegi
raunaqen kahan aatin dil ke in KHizaon mein
dil dhaDakne lagta hai sun ke halki aahaT bhi
tere pyar ki dastak jo hui hawaon mein
bhulne ki koshish bhi kaamyab kya hoti
'aks tera dikhta hai mujh ko sab dishaon mein
sath tera paun gar khil uThega phir jiwan
intizar ka 'alam hai abhi fazaon mein
phir se sham-e-tanhai yaad teri lai hai
phir se kho gaya hai dil mazi ki guphaon mein
kya gila karun 'mona' teri bewafai ka
jab wafa nahin shamil husn ki adaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.