kho gae jaane kahan pyar luTane wale
kho ga.e jaane kahāñ pyaar luTāne vaale
yaad aate haiñ bahut log purāne vaale
itnī mahñgā.ī meñ bachtā hī nahīñ kuchh sāhib
naukrī ek hai aur chaar haiñ khāne vaale
jin ko paayā thā sukūñ chain gañvā kar ham ne
saare tamġhe haiñ mahaz room sajāne vaale
kuchh bhī āsānī se hāsil nahīñ hotā hai yahāñ
the qatāroñ meñ khaḌe sub.h se paane vaale
ik tasallī ke sivā aur na de paa.e the kuchh
aaj bhī chubhte haiñ aañsū mujhe shāne vaale
khokhle rasmoñ rivājoñ ne jatāyā aksar
hāthiyoñ ke hī nahīñ daañt dikhāne vaale
kaisā insāf kiyā kartā hai uupar vaalā
bhīgte rahte haiñ ḳhud chhāvnī chhāne vaale
kho gae jaane kahan pyar luTane wale
yaad aate hain bahut log purane wale
itni mahngai mein bachta hi nahin kuchh sahib
naukri ek hai aur chaar hain khane wale
jin ko paya tha sukun chain ganwa kar hum ne
sare tamghe hain mahaz room sajaane wale
kuchh bhi aasani se hasil nahin hota hai yahan
the qataron mein khaDe subh se pane wale
ek tasalli ke siwa aur na de pae the kuchh
aaj bhi chubhte hain aansu mujhe shane wale
khokhle rasmon riwajon ne jataya aksar
hathiyon ke hi nahin dant dikhane wale
kaisa insaf kiya karta hai upar wala
bhigte rahte hain KHud chhawni chhane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.