kho gai chand ki KHushbu kaise
kho ga.ī chāñd kī ḳhushbū kaise
Dhal ga.ī zahr meñ kū kū kaise
jām-dar-jām bahāreñ utrīñ
chashm-e-shab kar ga.ī jaadū kaise
us ke hoñToñ pe thā muskān kā rang
us kī āñkhoñ meñ the aañsū kaise
terī āñkhoñ ke sahīfe saare
daf.atan bujh ga.e nā-zū kaise
dil kisī taur sañbhaltā hī nahīñ
is pe pā jā.ūñ maiñ qaabū kaise
jin meñ pinhāñ thiiñ bahāreñ 'sājid'
vo ḳhizāñ ban ga.e gesū kaise
kho gai chand ki KHushbu kaise
Dhal gai zahr mein ku ku kaise
jam-dar-jam bahaaren utrin
chashm-e-shab kar gai jadu kaise
us ke honTon pe tha muskan ka rang
us ki aankhon mein the aansu kaise
teri aankhon ke sahife sare
dafatan bujh gae na-zu kaise
dil kisi taur sanbhalta hi nahin
is pe pa jaun main qabu kaise
jin mein pinhan thin bahaaren 'sajid'
wo KHizan ban gae gesu kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.