kho gaya jo raqam nahin karte
kho gayā jo raqam nahīñ karte
aañkh be-vaj.h nam nahīñ karte
'umr se shikva ham nahīñ karte
husn ḳhud apnā kam nahīñ karte
hichkiyāñ lag na jaa.eñ us ko kahīñ
is liye yaad ham nahīñ karte
us kī ḳhāmoshī sunte rahte haiñ
shor ham koī dam nahīñ karte
vaqt sāthī hai kyā kareñ shikva
us ke aage qadam nahīñ karte
sab ke ġham kā hisāb rakhte haiñ
'aam jo apnā ġham nahīñ karte
kho gaya jo raqam nahin karte
aankh be-wajh nam nahin karte
'umr se shikwa hum nahin karte
husn KHud apna kam nahin karte
hichkiyan lag na jaen us ko kahin
is liye yaad hum nahin karte
us ki KHamoshi sunte rahte hain
shor hum koi dam nahin karte
waqt sathi hai kya karen shikwa
us ke aage qadam nahin karte
sab ke gham ka hisab rakhte hain
'am jo apna gham nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.