kho jaega wajud bikhar kar fazaon mein
kho jā.egā vajūd bikhar kar fazāoñ meñ
kab tak uḌegā zaḳhmī parinda havāoñ meñ
shahroñ kī bhiiḌ ne to basārat hī chhīn lī
tasvīr apnī dekheñge chal kar guphāoñ meñ
fikroñ ke dā.eroñ se nikalnā muhāl hai
jaao basāo shauq se duniyā ḳhalāoñ meñ
aisī ghuTan to pahle kabhī bhī na thī yahāñ
ye kis ne zahr ghol diyā hai havāoñ meñ
koī to ho safar kī jo tarġhīb de mujhe
baiThā huā huuñ der se bargad kī chhāñv meñ
kho jaega wajud bikhar kar fazaon mein
kab tak uDega zaKHmi parinda hawaon mein
shahron ki bhiD ne to basarat hi chhin li
taswir apni dekhenge chal kar guphaon mein
fikron ke daeron se nikalna muhaal hai
jao basao shauq se duniya KHalaon mein
aisi ghuTan to pahle kabhi bhi na thi yahan
ye kis ne zahr ghol diya hai hawaon mein
koi to ho safar ki jo targhib de mujhe
baiTha hua hun der se bargad ki chhanw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.