kho jaenge hum tum bhi milne ka ye pal jaise
kho jaenge hum tum bhi milne ka ye pal jaise
Saeed Nomani Muradabadi
MORE BYSaeed Nomani Muradabadi
kho jā.eñge ham tum bhī milne kā ye pal jaise
kho jaatā hai maazī meñ biitā huā kal jaise
aao merī bāhoñ meñ yuuñ aa ke simaT jaao
āġhosh meñ jamunā ke hai tāj-mahal jaise
dīvāna mujhe kah kar mahfil se uThāte ho
tum kyoñ nazar aate ho 'hāfiz' kī ġhazal jaise
furqat kā to ik lamha sadiyoñ ko sameTe hai
ai dost masarrat kī ik umr hai pal jaise
āñkhoñ kā hai ye manzar hoñToñ kā hai ye aalam
paanī meñ kañval jaise mahfil meñ ġhazal jaise
hālāt 'sa.īd' apne kuchh aise hī uljhe haiñ
bikhrī huī zulfoñ meñ paḌ jaate haiñ bal jaise
kho jaenge hum tum bhi milne ka ye pal jaise
kho jata hai mazi mein bita hua kal jaise
aao meri bahon mein yun aa ke simaT jao
aaghosh mein jamuna ke hai taj-mahal jaise
diwana mujhe kah kar mahfil se uThate ho
tum kyon nazar aate ho 'hafiz' ki ghazal jaise
furqat ka to ek lamha sadiyon ko sameTe hai
ai dost masarrat ki ek umr hai pal jaise
aankhon ka hai ye manzar honTon ka hai ye aalam
pani mein kanwal jaise mahfil mein ghazal jaise
haalat 'said' apne kuchh aise hi uljhe hain
bikhri hui zulfon mein paD jate hain bal jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.