kho jate hain dariya miTTi pyasi rah jati hai
kho jaate haiñ dariyā miTTī pyāsī rah jaatī hai
sadiyoñ rahne vaalī zard udāsī rah jaatī hai
aañkh ke pīchhe kyā hotā hai ilm nahīñ ho saktā
fankāroñ kī āḳhir rūp-shanāsī rah jaatī hai
khul kar apne ishq kā ham ne to iz.hār kiyā hai
ghaT kar rah jaa.e to chāhat baasī rah jaatī hai
dopahroñ ko jāgtī rahtī hai sāyoñ kī sūrat
din ho jaatā hai par raat zarā sī rah jaatī hai
sarmā.e kī gardish hai har vaqt zarūrī 'hazrat'
jauhaḌ bantā hai jab āb-nikāsī rah jaatī hai
kho jate hain dariya miTTi pyasi rah jati hai
sadiyon rahne wali zard udasi rah jati hai
aankh ke pichhe kya hota hai ilm nahin ho sakta
fankaron ki aaKHir rup-shanasi rah jati hai
khul kar apne ishq ka hum ne to izhaar kiya hai
ghaT kar rah jae to chahat basi rah jati hai
dopahron ko jagti rahti hai sayon ki surat
din ho jata hai par raat zara si rah jati hai
sarmae ki gardish hai har waqt zaruri 'hazrat'
jauhaD banta hai jab aab-nikasi rah jati hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 300)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.