kho kar use sar apna paTakti rahi hai ruh
kho kar use sar apnā paTaktī rahī hai ruuh
janmoñ salīb-e-ġham pe laTaktī rahī hai ruuh
gum-gashta lazzatoñ ke tajassus meñ 'umr-bhar
parchhā.iyoñ kī samt lapaktī rahī hai ruuh
hañste rahe haiñ lab tirī dil-jūī ke liye
roTī rahī hai ruuh sisaktī rahī hai ruuh
ik 'umr mujh se jism kā rishta rahā magar
ik 'umr tujh se duur bhaTaktī rahī hai ruuh
chhoḌā na qātiloñ ne mire jism kā nishāñ
un ke magar diloñ meñ khaTaktī rahī hai ruuh
us kā mizāj thī ki muqaddar thī gum-rahī
janmoñ badan ke ban meñ bhaTaktī rahī hai ruuh
yādoñ ke aa.ine meñ koī chāñd dekh kar
bachche kī tarh us pe humaktī rahī hai ruuh
is draupadī kā chīr-haran kaun kar sakā
ḳhud ko hazār pardoñ meñ Dhaktī rahī hai ruuh
kyā jaane jā basā hai vo kis chitrakōt meñ
jis kī birah meñ roTī bilaktī rahī hai ruuh
yādoñ ke mai-kade se nikal kar bhī der tak
is ruup ke nashe meñ bahaktī rahī hai ruuh
pheñkā thā us ne mujh pe tabassum kā ek phuul
tab se 'shabāb' apnī mahaktī rahī hai ruuh
kho kar use sar apna paTakti rahi hai ruh
janmon salib-e-gham pe laTakti rahi hai ruh
gum-gashta lazzaton ke tajassus mein 'umr-bhar
parchhaiyon ki samt lapakti rahi hai ruh
hanste rahe hain lab teri dil-jui ke liye
roTi rahi hai ruh sisakti rahi hai ruh
ek 'umr mujh se jism ka rishta raha magar
ek 'umr tujh se dur bhaTakti rahi hai ruh
chhoDa na qatilon ne mere jism ka nishan
un ke magar dilon mein khaTakti rahi hai ruh
us ka mizaj thi ki muqaddar thi gum-rahi
janmon badan ke ban mein bhaTakti rahi hai ruh
yaadon ke aaine mein koi chand dekh kar
bachche ki tarh us pe humakti rahi hai ruh
is draupadi ka chir-haran kaun kar saka
KHud ko hazar pardon mein Dhakti rahi hai ruh
kya jaane ja basa hai wo kis chitrakoot mein
jis ki birah mein roTi bilakti rahi hai ruh
yaadon ke mai-kade se nikal kar bhi der tak
is rup ke nashe mein bahakti rahi hai ruh
phenka tha us ne mujh pe tabassum ka ek phul
tab se 'shabab' apni mahakti rahi hai ruh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.