khod kar buniyaad ke patthar liye phirte rahe
khod kar buniyād ke patthar liye phirte rahe
apne kāñdhoñ par ham apnā ghar liye phirte rahe
tishnagī kā almiya kis se bayāñ karte vahāñ
ham samundar meñ tahī sāġhar liye phirte rahe
aaj ke bāzār meñ sang-o-ḳhazaf kī maañg hai
la.al-o-gauhar laakh saudāgar liye phirte rahe
kyā huī sub.h-e-banaras kyā huī shām-e-avadh
ham faqat āñkhoñ meñ vo manzar liye phirte rahe
aaj tak duniyā meñ ham auroñ ke saa.e ke liye
apne sar par dhuup kī chādar liye phirte rahe
kaun detā hai shahīdān-e-vafā kā ḳhūñ-bahā
apne hāthoñ par ham apnā sar liye phirte rahe
kaam koī bhī na aaya jab paḌā vaqt-e-ḳharāb
lab pe sab alfāz ke daftar liye phirte rahe
pyaar kā paayā hai is aalam meñ kyā pyārā javāb
phuul ham hāthoñ meñ vo patthar liye phirte rahe
kheltī thī muskurāhaT jin ke hoñToñ par 'zuhūr'
āstīnoñ meñ vahī ḳhanjar liye phirte rahe
khod kar buniyaad ke patthar liye phirte rahe
apne kandhon par hum apna ghar liye phirte rahe
tishnagi ka almiya kis se bayan karte wahan
hum samundar mein tahi saghar liye phirte rahe
aaj ke bazar mein sang-o-KHazaf ki mang hai
lal-o-gauhar lakh saudagar liye phirte rahe
kya hui subh-e-banaras kya hui sham-e-awadh
hum faqat aankhon mein wo manzar liye phirte rahe
aaj tak duniya mein hum auron ke sae ke liye
apne sar par dhup ki chadar liye phirte rahe
kaun deta hai shahidan-e-wafa ka KHun-baha
apne hathon par hum apna sar liye phirte rahe
kaam koi bhi na aaya jab paDa waqt-e-KHarab
lab pe sab alfaz ke daftar liye phirte rahe
pyar ka paya hai is aalam mein kya pyara jawab
phul hum hathon mein wo patthar liye phirte rahe
khelti thi muskurahaT jin ke honTon par 'zuhur'
aastinon mein wahi KHanjar liye phirte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.