khoj mein hum jin ki be-ghar ho gae
khoj meñ ham jin kī be-ghar ho ga.e
gum nigāhoñ se vo manzar ho ga.e
hādse bhī ab to chauñkāte nahīñ
jiine vaale jaise patthar ho ga.e
le ga.iiñ nīñdeñ mirī āgāhiyāñ
ḳhvāb saare ghar se be-ghar ho ga.e
ghar kī qismat ban ga.iiñ tanhā.iyāñ
jab se vo aur maiñ barābar ho ga.e
ab ujaḌte haiñ na baste haiñ 'niyāz'
ham to jaise be-muqaddar ho ga.e
khoj mein hum jin ki be-ghar ho gae
gum nigahon se wo manzar ho gae
hadse bhi ab to chaunkate nahin
jine wale jaise patthar ho gae
le gain ninden meri aagahiyan
KHwab sare ghar se be-ghar ho gae
ghar ki qismat ban gain tanhaiyan
jab se wo aur main barabar ho gae
ab ujaDte hain na baste hain 'niyaz'
hum to jaise be-muqaddar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.