khojta phirta hun par milta nahin dil ka pata
khojtā phirtā huuñ par miltā nahīñ dil kā pata
koī aa kar to batā de mujh ko manzil kā pata
roz-o-shab chaltī havā dekho muḳhālif hai magar
bhuul saktī hī nahīñ ġhazleñ to mahfil kā pata
zindagī kā bhī safar āsāñ to hotā hī nahīñ
hausle mere hī deñge mujh ko manzil kā pata
hasrateñ dil meñ machalne lag ga.iiñ dīdār kī
terī āñkhoñ se milā ulfat ke hāsil kā pata
us kī majbūrī to koī bhī samajhtā hī nahīñ
ab to rakhtā hī nahīñ koī bhī saa.il kā pata
ziist ke majdhār meñ 'mīnā' kī kashtī hai abhī
kyā kareñge DhūñDh kar ab ham bhī sāhil kā pata
khojta phirta hun par milta nahin dil ka pata
koi aa kar to bata de mujh ko manzil ka pata
roz-o-shab chalti hawa dekho muKHalif hai magar
bhul sakti hi nahin ghazlen to mahfil ka pata
zindagi ka bhi safar aasan to hota hi nahin
hausle mere hi denge mujh ko manzil ka pata
hasraten dil mein machalne lag gain didar ki
teri aankhon se mila ulfat ke hasil ka pata
us ki majburi to koi bhi samajhta hi nahin
ab to rakhta hi nahin koi bhi sail ka pata
zist ke majdhaar mein 'mina' ki kashti hai abhi
kya karenge DhunDh kar ab hum bhi sahil ka pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.